Sun 25 Feb 2007
***Aaj Rootha huwa ik dost bohot yaad aaya *
*Acha guzra huwa kuch waqt bohot yaad aaya. *
*Meri aankho k her ik ashk pe ronay wala *
*Aaj jab aankh yeh roee tu bohot yaad aaya. *
*Jo mere dard ko seene main chupa laita tha *
*aj jab dard huwa mujh ko bohot yaad aaya.*
*Jo meri aankh main kajal ki tara rehta tha *
*aaj kajal jo lagaya tu bohot yaad aaya. *
*Jo mere dil k tha qareeb faqat us ko hi *
*aaj jab dil nay bulaya tu boht yaad aaya.*