April 2007
Monthly Archive
Sun 15 Apr 2007
वो लोग बहोत खà¥à¤¶à¤•िसà¥à¤®à¤¤ थे,
जो इशà¥à¤• को काम समà¤à¤¤à¥‡ थे,
या काम से आशिकी करते थे
हम जीते जी मसरूफ रहे
ना इशà¥à¤• किया,
ना काम किया
काम इशà¥à¤• के आडे़ आता रहा
और इशà¥à¤• से काम उलà¤à¤¤à¤¾ रहा
फिर आखिर तंग आकर हमने
दोनों को अधूरा छोड़ दिया
Fri 13 Apr 2007
MAA,[AMMI]
wo diya-i-mohabaat ka wo sayabain
hai jis ki rooshani main main nay
aanq hai khooli, wo kisaya mohabaat
ka wo fishain hai jis main main nay
saab say pahlay khood ko hai paya, wo
hasti aasay hai jasay, jaltay diyoo
main aasay,jasay saab say rooshan dia
ho wasay, mahkatay phooloo main
aasay,jasay ho saab say mahkata phool
ho wasay, mahkatay khilkhalatay
rangoo main aasay,jasay rooshan
chmakata rang wo wasay, chaandani
raatoo main aasay,jasay chohadwian
ki raat ho wasay, jisam ki tamaam
ragoo main aasay,jasay jisam ki sha
rag ho wasay, wo hasti tamaam
hastiyoo main hai aasay,jasay kisi
hawa kay naraam ghoonkay nay much
ko payaar say ho thapthapaya, yeah
wo hansati hai wasy,jis ko saab
pukartay hain “MAA” (AMMI)
Fri 13 Apr 2007
Kabhi raste mein mil jaao, to katrake guzar jana,
Humein iss tarah takna, jaise pehchana nahin tumne,
Humara zikra jab aae, to yunh anjaan ban jana,
Jaise naam sunker bhi humein pehchana nahin tumne.
Fri 13 Apr 2007
Na-Jane kab is Dil ki Hasarat puri hogi,
Kab mitege Faasle aur Door ye Doori hogi?
Door rehne ki konsi aisi Majburi hogi,
Bina us k Zindagi yakeenan Adhuri hogi
Pyar to wo bhi Hum se Be-Hadd karti hai,
Aayegi tabhi jab apno ki Manzoori hogi
Agar wo nahi aa paye kisi Darr k maare,
Uski Zimmedar bhi ye Dunya Buri hogi
Phirte hain log chehre pe Ronak le ker,
Kab Door Meri Zindagi ki Be-Noori hogi ?
Na-Jane kab is Dil ki Hasarat puri hogi,
Kab mitege Faasle aur Door ye Doori hogi?
Fri 13 Apr 2007
DIL NE JISE CHAHA VO NA HUWA MERA
KYA KARU RAB TU MUJE BATHA
LAGTA HEIN DAR AB TANHAYIYOO SE
KOI NA HEIN USKE JAISA IZ DUHIYA MEIN
KYA KARU …..
MEIN NA BHOOLA PAOONGI VO HASI
MULAKAT ZINDAGI MEIN…
KYA KARU……..
DEKTI HOON AB KHULI NAZROON SE
SAPNE SAJAN KE
YAAD AATI HE VO BATIEN JISNE DIL KO DHADKAYA
KYA KARU………..
AANDAAZ HEIN SUHANA UNKE BHOLNE KA
JEE KARTA HEIN BATIEN KARTI RAHO ZINDAGI BHAR
PAR KHASH AISA HOTA
KYA KARU……….
Fri 13 Apr 2007
Mere Sabar Ka Na Lay Imtihaan
Mere Sabar Ka Na Lay Imtihaan,
Mere Khaamoshi Ko Sadaa Na Day,
Jo Tere Baghair Na Jee Sake,
Use Jeene Ki Tu Duaa Na Day,
Tu Azeez Dill-o-nazar Se Hai,
Tu Qareeb Rag-o-jaan Sai Hai
Mere Jism-o-jaan Ka Yeh Faasla,
Kaheen Waqt Aur Barhaa Na Day,
Tujhe Bhool Ke Na Bhulaa Sakoon,
Tujhe Chah Ke Bhi Na Paa Sakoon,
Meri Hasratoon Ko Shumaar Kar,
Meri Chahatoon Ka Silaa Na Day,
Wo Tarap Jo Shula-e-jaan Main Thi,
Mere Tan Badan Se Lipat Gayi,
Jo Bujha Sake To Bujha esey,
Na Bujhaa Sake To Hawaa Na De,
Tujhe Agar Milein Kabhi Fursatein,
Mere Shaam Phir Se Sanwaar Day,
Agar Qatal Karna Hai To Qatal Kar ,
Yoon Judaaiyoon Ki Sazaa Na Day
Sun 8 Apr 2007
Dost dosti ke waste ,
humari khusi ke waste,
dosti ka haath bada do tum,
ye riste hum banayenge.
aapni saans tak nibhayenge.
kuch galti ho to maaf kerna
jo chahey wo saza do tum,
dosti ka haath bada do tum
dard hai to ashq sameto,
khusi mile to seene se laga lo tum ,
aapna dost bana lo tum
dosti ka haath bada do tum
Sun 8 Apr 2007
Jo Meri aankhon se Khuaab dekho
To Aik shab bhi na So sako Gay
Ke Laakh Chaho Na Hans sako gay
Hazaar chaho na Ro Sako gay’
Ke Khuaab kya hain Azaab Hain ye
Mere Dukhon ki kitaab hain ye
Rifaqatain In main Chotti hain
Mohabbatain in main Roothti hain
Pinapti Hain In main Vahshatain see
Azyatain In main Photti hain
Un hi ke Dar se Khizaan Hain Jazbay
Un hi se shakhain see tot’ti hain
Ghamon ki Bandish hain Khuaab mere
Ahal Raha hai Dukhon ka Lava
Rahen Aatish hain khuaab Mere
Khayal sare Jhulaas gay hain
Sulagti Khuahish hain khuaab Mere
Ukharrti Sansain hain Zindagi ki
Lahu ki Sazish hain Khuaab Mere
Jo Meri aankhon se Khuaab dekho
To Aik shab bhi na So sako Gay!
Thu 5 Apr 2007
Tumhen jub maine kareeb se dekha,
to aisa laga ki koi pyaari si pari,
mere saamne aakar baith gai ho or dil,
kehta geya ki tere bare me kya kahun,
teri aankhon me ittni gehraaie jhalki,
laga inme dono jahaan doob sakte hain,
tere hoont kuchh youn jhalak rahe the,
jaise saavan ki pehli barsaat me gulaab,
ki pankhudiyan muskura kar khil jati hain,
bilkul aisi tere honton ki muskaan thi,
tere gesuon k liye kehne ko{gareeb}k paas,
koi bool nahi hain kyonki yeh to anmool hain,
jaane kahan se aaie hai tu kiski kismat hai,
jaise koi pyaara sa timtimata sitaara hai tu,
jaane kyon lagta hai ki bass humaara hai tu,Â
Thu 5 Apr 2007
Shaayad unse pyaar karne lagi hun..!…………
Pehle mein chain se soya karti thi,
ab raaton ko karvatein badalne lagi hun.
pehle mein sabse bahut baatein kiya karti thi,
ab chupchaap rehne lagi hun.
pehle mein mehfilon mein raha karti thi,
ab akeli rehni lagi hun.
shaayri aur kavitaaon ka shokh nahi tha mujhe,
par ab khud shaayri likhne lagi hun.
unse mulakat hone ke baad,
jaane kyun unke baare mein hi sochne lagi hun.
pehle mein doston ki nakal kiya karti thi,
ab aaine ke saamne unki nakal karne lagi hun.
zindagi ke safar mein akele chalte chalte achanak,
unke saath chalne ki khwayish karne lagi hun.
sablog unka naam le lekar mujhe pareshaan kiya karte the,
par ab yeh pareshaani bhi pasand karne lagi hun.
jo lamhe humne saath bitaye the,
woh lamhe ab roz yaad karne lagi hun.
woh mujhe jin baaton par hasaya karte the,
ab un baaton ko dohra dohra kar hasne lagi hun.
sab log mere khoye khoye rehne ki wajah puchte the,
par ab yahi sawaal khud se puchne lagi hun.
bhale hi woh mujhse door hain par,
har ghadi unki aahat mehsoos karne lagi hun.
ab to unka zikar hone par,
main to sharmane lagi hun.
pehle main mandir jaati thi bhagwan ke darshan karne,
par ab unke darshan ki duaa maangne lagi hun.
pehle woh mujhe begaane lagte the,
par ab unme woh apnapan mehsoos karne lagi hun.
pehle main pyaar ki baatein bilkul nahi samajhti thi,
par ab woh sab samjhne lagi hun.
main apni khudki haalat pe hairan hun,
main aisi kyun hone lagi hun?
mujhe aisa lagta hai yaaron,
shaayad mein unse pyaar karne lagi hun..!
« Previous Page — Next Page »