Khaatir Se Ya Lihaaz se, Mai Maan To Gaya

Khaatir se ya Lihaaz se, Mai Maan to gaya,
Jhooti Qasam se Aap ka Imaan to gaya

Dil le k Muft kehte hain, Kuch Kaam ka Nahi,
Ulti Shikayatein hoi, Ahsaan to gaya

Afshaya-e-Raaz Ishq mai, Wo Zillatein hoi,
Lekin us ko jata dya, Jaan to gya

Go-Nama-Bar se Khush na hua, Par Hazaar Shukar,
Wo Mujh ko Mere Naam se Pehchan to gaya

Hosh-o-Hawas, Taab-o-Tawa Daag to ja chuke,
Ab Hum b jane wale hain, Saman to gaya