August 2007


Behiss hain yahan loog,bhala soch k karna,
Iss dor may logon say wafa soch k karna,
Ek bar jo roothay hum to,mana tum na sako gay,
Hum jaisay wafadar ko kahafa soch k karna,
Gul shaakh say bichray to kahin ka nahi rehta,
TUM ZAAT MERE KHUD SAY JUDA SOCH K KARNA.

Kaghaz pe hum ne zindagi likh di,
Ankhon se seench kar apni har khushi likh di,
Dard jab hum ny utara lafzon may,
Zamanay ny kaha WAH kia ghazal likh di.

Bichartay huay apni yaad day jaingay,
khud sonay say pehlay tum ko ek khuwaab day jaingay,
Tumhay gila hai k hum jawab nahy detay,
Sansoon k ruknay say pehlay har jawab day jaingay

kuch loog bhool kar bhe bhulaey nahi jatay,
Aetibaar itna k azmaey nahi jatay,
ho jatay hain dilon pe kuch is tarhan musalat,
Kay naksh un k,dil se mitaey nahi jatay.

Ghum ki barish ney bhee terey naqesh ko dhoya nahee
Tu ne mujh ko kho diya meney tujhey khoya nahee

Neend ka helka gulabee sa khumar ankhou mey tha
Yu lega jesey wo shub ko dair tek soya nahee

Her taref deewar o der aur un mey ankhou ka hajum
Keh sekey jo dil ki haalet wo lubey goyaa nahee

Jurm Adam ney kiya aur nasley Adam ko sezaa
Kaat ta hu zindagi bher jo meney boya nahee

Janta hu ek esey shakhus ko mein bhee MUNIR
Ghum sey pather ho geya lakin kabhee roya nahee

Google