Hindi Shayari


Behiss hain yahan loog,bhala soch k karna,
Iss dor may logon say wafa soch k karna,
Ek bar jo roothay hum to,mana tum na sako gay,
Hum jaisay wafadar ko kahafa soch k karna,
Gul shaakh say bichray to kahin ka nahi rehta,
TUM ZAAT MERE KHUD SAY JUDA SOCH K KARNA.

Kaghaz pe hum ne zindagi likh di,
Ankhon se seench kar apni har khushi likh di,
Dard jab hum ny utara lafzon may,
Zamanay ny kaha WAH kia ghazal likh di.

Bichartay huay apni yaad day jaingay,
khud sonay say pehlay tum ko ek khuwaab day jaingay,
Tumhay gila hai k hum jawab nahy detay,
Sansoon k ruknay say pehlay har jawab day jaingay

kuch loog bhool kar bhe bhulaey nahi jatay,
Aetibaar itna k azmaey nahi jatay,
ho jatay hain dilon pe kuch is tarhan musalat,
Kay naksh un k,dil se mitaey nahi jatay.

Ghum ki barish ney bhee terey naqesh ko dhoya nahee
Tu ne mujh ko kho diya meney tujhey khoya nahee

Neend ka helka gulabee sa khumar ankhou mey tha
Yu lega jesey wo shub ko dair tek soya nahee

Her taref deewar o der aur un mey ankhou ka hajum
Keh sekey jo dil ki haalet wo lubey goyaa nahee

Jurm Adam ney kiya aur nasley Adam ko sezaa
Kaat ta hu zindagi bher jo meney boya nahee

Janta hu ek esey shakhus ko mein bhee MUNIR
Ghum sey pather ho geya lakin kabhee roya nahee

Meri Zindagi to Firaaq hai, Wo Azal se Dil k Makeen Sahi
Wo Nigah-e-Shoq se Door hon, Rag-e-Jaan se laakh Qareen Sahi

Hamein Jaan deni hai ek din, wo kisi tarah wo Kahein Sahi
Hamein Aap khinchey Daar per. Jo nahi koi to Hum hi Sahi

Sar-e-Toor ho, Sar-e-Hashar ho, Hamein Intizaar Qabool hai
Wo Kabi mile, wo kahin mile, wo kabi Sahi, wo kahin Sahi

Na ho Un per jo Mera Bus nahi, k yeh Aashqi hai Hawas nahi
Mai Unhi ka tha, Mai Unhi ka hoon, wo Mere nahi to nahi Sahi

Jo ho Faisla wo sunaye, use Hashar per na Uthaye
Jo kareinge Aap Sitam wahan, wo abi sahi, wo yahin Sahi

Usey dekhne ki jo Loo lagi, to ‘NASEER’ dekh hi leinge Hum
Wo Hazar Aankh se Door ho, wo Hazar Parda-Nasheen Sahi

Khaatir Se Ya Lihaaz se, Mai Maan To Gaya

Khaatir se ya Lihaaz se, Mai Maan to gaya,
Jhooti Qasam se Aap ka Imaan to gaya

Dil le k Muft kehte hain, Kuch Kaam ka Nahi,
Ulti Shikayatein hoi, Ahsaan to gaya

Afshaya-e-Raaz Ishq mai, Wo Zillatein hoi,
Lekin us ko jata dya, Jaan to gya

Go-Nama-Bar se Khush na hua, Par Hazaar Shukar,
Wo Mujh ko Mere Naam se Pehchan to gaya

Hosh-o-Hawas, Taab-o-Tawa Daag to ja chuke,
Ab Hum b jane wale hain, Saman to gaya

Ik zara si ranjish se
Khawab toot jatay hain
bheer mein zamanay ki
haath choot jatay hain
dost daar lehjay mein
silwatein si parti hain
ik zara si ranjish se
shak ki zard tehni per
phool badgumani k is tarha se khiltay hain
zindagi se pyaray bhi ajnabi se lagtay hain
ghair ban k miltay hain
umer bhar ki chahat ko, aasra nahi milta
khaamoshi k waqfon mein, baat toot jati hai
aur sira nahi milta
maazrat k lafzon ko, roshni nahi milti
lazzat e pazeerai bhi, phir kabhi nahi milti
phool rang waadon k, khawab toot jatay hain
manzilein sukarti hain, raah murnay lagti hai
be rukhi k gaaray se, be dili ki mitti se
faaslon ki eenton se, eent jurnay lagti hai
khaak urnay lagti hai
khawab toot jatay hain, waahmon k saaey se
umer bhar ki mehnat ko, pal mein loot jatay hain
ik zara si ranjish se
saath toot jatay hain …….

EH kayanat mahkti hai teri khusboo se,
Dilon me jazba-e-barsat teri khusboo se !

Gulon me rang baharon me Jo angadaee hai,
Hawa ke sang mahkti hai teri khusboo se !

He aftab ki surkhi tere labon se hai,
Hai sitaron ki e barat teri khusboo se !

Shiyah rat ka wazood teri zulf ka kham,
Naseem-e-subha mahkti hai teri khusboo se

Tere kajal se churaya hai sham ne jadu,
Har sare sham mahkti hai teri khusboo se !

Tu mera dost hai sare jahan ko hai maloom,
Hai meri gazal ka doshi:z teri khusboo se ! !

log har mod pe ruk ruk ke sambhalate kyuu.nehin
itanaa darate hai.n to phir ghar se nikalate kyun nehin

main na juganu hoon diyaa hoon na koi tara hoon
raushani wale mere naam se jalate kyun hain.

neend se mera taalluq hii nahin barason se
Khuaab aa aa ke merii chhat pe Tahalate kyun nehin.

mood hota hai jawani ka sambhalane ke liye
aur sab log yahin aake phisalate kyun hai.n

« Previous PageNext Page »

Google